Hum Akele hi acche the..
Na kisi ko khush karne ki chahat,
Na kisi ko dukh dene ka darr.
Apni zindagi to mast
thi
Jab hum chhote bachche the.
Aangan main khelte rehte, Na kisi ki koi bhi fikarr!
Abhi to milta hai har mod par ek naya rasta,
Ek naya Rishta,
Kuch sachche, aur kayi jhoot.
Aur udd jaate hai kayi vaade,
Jaise uddte Parinde..!!
Kyuki Zabaan ki nai koi keemat!!!
Hum to akele hi acche the....
Har roz kisi ke intezaar main aankhe to na thakti,
Har roz kisi ka naam in hoto pe to na japti.
Akele hote to dard bhi kam hota,
Aansu bhi kam hi girte,
Akele galiyon main kisi k haath k liye naa tarste,
Andheri raatein kisi
ki yaadon main na guzarte.
Agar hum akele hote,
To pariwaar k saath bitaya har lamha har pal Suhana lagta,
Har beeti baat pyaari lagti!
har din ko khulke jeete,
Hasi ki har ek kilkaar amulya hoti!
Bas agar hum akele hote....
To Zindagi ki muskaan hi alag hoti!
Agar aise hi hoti Sukoon se bhari zindagi hamari......
To hum to Akele to bade hi acche the!!!!!!
No comments:
Post a Comment